muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka baat kar tujh par guman hone laga taswir ka raat kya soe ki baqi umr ki nind ud gai khwab kya dekha ki dhadka lag gaya tabir ka kaise paya tha tujhe phir kis tarah khoya tujhe mujh sa munkir bhi to qael ho gaya taqdir ka jis tarah baadal ka saya pyas bhadkata rahe main ne ye aalam bhi dekha hai teri taswir ka jaane kis aalam mein tu bichhda ki hai tere baghair aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahrir ka ishq mein sar phodna bhi kya ki ye be-mehr log ju-e-khun ko nam de dete hain ju-e-shir ka jis ko bhi chaha use shiddat se chaha hai 'faraaz' silsila tuta nahin hai dard ki zanjir ka