shab wahi lekin sitara aur hai ab safar ka istiara aur hai ek mutthi ret mein kaise rahe is samundar ka kinara aur hai mauj ke mudne mein kitni der hai naw dali aur dhaara aur hai jang ka hathiyar tai kuchh aur tha tir sine mein utara aur hai matn mein to jurm sabit hai magar hashiya sare ka sara aur hai sath to mera zamin deti magar aasman ka hi ishaara aur hai dhup mein diwar hi kaam aaegi tez barish ka sahaara aur hai haarne mein ek ana ki baat thi jit jaane mein khasara aur hai sukh ke mausam ungliyon par gin liye fasl-e-gham ka goshwara aur hai der se palken nahin jhapkin meri pesh-e-jaan ab ke nazara aur hai aur kuchh pal us ka rasta dekh lun aasman par ek tara aur hai had charaghon ki yahan se khatm hai aaj se rasta hamara aur hai