muntazir rahna bhi kya chahat ka khamyaza nahin kan dastak par lage hain ghar ka darwaza nahin hath par tu ne muqaddar ki lakiren khinch din kya tujhe bhi mere mustaqbil ka andaza nahin dekhna chahun to khushbu, chhuna chahun to hawa mere daman tak jo aae tu wo shiraaza nahin dafan hun ehsas ki sadiyon purani qabr mein zindagi ek zakhm hai aur zakhm bhi taza nahin tum hi ai khamoshiyo patthar utha lo hath mein koi naghma koi nala koi aawaza nahin husn pahchanegi mera dekhne wali nazar khun to hai aankhon mein chehre par agar ghaza nahin mangte hain kyun 'muzaffar' log barish ki dua tishnagi-e-ruh ka jismon ko andaza nahin