ye ghumta hua aaina apna thahra ke zara dikha mera rafta tu charkh palta ke hai kaenat muamma juda tariqe ka faqat sulajhta hai aapas mein girhen uljha ke natija ek sa nikla dimagh aur dil ka ki donon haar gae imtihan mein duniya ke musafiron se raha hai wo rasta aabaad palat ke aae nahin jis se pesh-rau ja ke ye hijr-zad samajhta hai kam visal ki baat bata jo ramz-o-kinaya hain khub phaila ke ki band rahta hai shahr-e-talab ka darwaza yaqin aaya mujhe bar bar ja aa ke khafif ho ke main chehre ko pher leta hun agar guzarta hai tujh aashna sa katra ke jawab mera ghalat tha sawal us ka durust khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke