muntazir tha wo to just-o-ju mein ye aawara tha shefta tera hi tha jo sabit-o-sayyara tha hai jo hasrat to sarapa chashm hone ki hamein hasil is aaina-khana mein faqat nazzara tha jab shab-e-mah mein chakor udta hai mar jate hain hum putliyon ka apni bhi tara koi rukhsara tha khol kar dil jab main rota tha firaq-e-yar mein chashm-e-tar mamba thi har mu-e-mizha fawwara tha sail-e-girya ne ye kis ke di samundar ko shikast jo habab aaya nazar ek wazhgun naqqara tha ek shab to wasl-e-jaanan ki tawazo ai falak chaar din mehman tere ghar mein main be-chaara tha roz-o-shab ke haal ka likhta tha parcha roz-o-shab katib-e-amal meri dewdhi ka harkara tha pitna sar apne matam mein azizo yar ka qila-e-kunj-e-lahad ki fath ka naqqara tha ahd-e-tifli se junun-e-ishq kaamil hai shafiq shakh-e-nakhl-e-bed-e-majnun se mera gahwara tha jaan-e-shirin muzd ju-e-shir mein tesha ko di hausla se apne bahar kohkan be-chaara tha haalat-e-dil ko bayan karta kisi se main to kya ishq mein ek mushaf-e-rukhsar ke sipara tha ye hua zahir ana laila-e-majnun se hamein apna diwana tha apne waste aawara tha haal apna ai sanam apni judai mein na puchh sina o sar tha hamara aur sang-e-khara tha kucha-e-qatil mein jab shauq-e-shahadat le gaya sar na tha gardan par apne bar-e-sad-pushtara tha lotta tha is mein bad-khui se main manind-e-ashk shokhi-e-tiflan se jumban mera gahwara tha shan-e-ishq aula hai majnun dudman-e-ishq se na-khalaf na-qabil o nalaeq o nakara tha ahl-e-alam se hamesha 'atish' izaen huin mardum-e-duniya namak the main dil-e-sad-para tha