mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya
barabar gardan-e-shah-o-gada donon ko kham paya

ba-rang-e-shama jis nai dil jalaya teri duri main
to us nai manzil-e-maqsud ko zer-e-qadam paya

baja karte hain aashiq taq-e-abru ki parastari
yahi mehrab-e-dair-o-kaba mein bhi hum ne kham paya

nishana tir-e-tohmat ka hai mera akhtar-e-tale
uthaun dagh main to aasman samjhe diram paya

hazaron hasraten jawengi mere sath duniya se
sharar-o-barq se bhi arsa-e-hasti ko kam paya

siwae ranj kuchh hasil nahin hai is kharabe main
ghanimat jaan jo aaram tu ne koi dam paya

nazar aaya tamasha-e-jahan jab band kin aankhen
safa-e-qalb se pahlu mein hum ne jam-e-jam paya

jalaya aur mara husn ki nairang-sazi ne
kabhi barq-e-ghazab us ko kabhi abr-e-karam paya

firaq-anjam kaam aaghaz-e-waslat ka bila shak hai
bahut roya main ruh-o-tan ko jab mushtaq hum paya

har ek jauhar mein us ka naqsh-e-pa-e-raftagan samjha
dam-e-shamshir-e-qatil jada-e-rah-e-adam paya

hamara kaba-e-maqsud tera taq-e-abru hai
teri chashm-e-siyah ko hum ne aahu-e-haram paya

hua hargiz na khatt-e-shauq ka saman durust 'atish'
siyahi ho gai nayab agar hum ne qalam paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close