muqaddar apna bargashta mukhalif aasman apna wo kya rutha ki dushman ho gaya sara jahan apna ilahi ho gaya be-wajh dushman baghban apna kahan le jaen gulshan se utha kar aashiyan apna bigad jae na gulchin hai zamane ki hawa bigdi banaya to hai bulbul shakh-e-gul par aashiyan apna fasana ban ke apna ishq duniya ki zaban par hai diya tha hum ne dil tum ko samajh kar raaz-dan apna wafa ki qadar kya hoti sitam ke ho gae khugar banaya un ko dushman hum ne de kar imtihan apna khuda ki zat par hum ko to ai 'shankar' bharosa hai bala se dushman-e-jaan ho jo hai sara jahan apna