phir surkh phul shahr ke pedon mein aa gae ruhon mein jitne zakhm the chehron mein aa gae har ek daricha phul se chehron se bhar gaya ab to chaman bhi shahr ki galiyon mein aa gae dil mein tere khulus ke dariya the gar rawan shoale kahan se phir teri aankhon mein aa gae ab dekhiyega kis tarah udti hain kirchiyan patthar se log aaina-khanon mein aa gae hum saya-dar ped ke niche hain zakhm zakhm patthar kahan se reshmi patton mein aa gae bas itne hi jari the harifan-e-aftab chamki zara si dhup to kamron mein aa gae 'betab' ab to laut ke jaana muhaal hai hum gahre paniyon ke jaziron mein aa gae