muqaddar mein likha hai gham hi gham kya usi ke ho ke rah jaenge hum kya dil-e-barbaad mein barson rahe hain ye gham kya dard kya ranj-o-alam kya ba-juz ruswai is mein kuchh nahin hai mohabbat kya mohabbat ka bharam kya irada tark-e-ulfat ka to kar lun utha sakta hai dil aisa qadam kya unhen tu 'raaz' dekhega pasheman teri aankhen na ho jaengi nam kya