kitni soi hui Tison ko jagati hai hawa

kitni soi hui tison ko jagati hai hawa
jab bhi purab ki taraf se kabhi aati hai hawa

pahle aati thi to kuchh phul khila jati thi
ab suna hai ki bahut khak udati hai hawa

mahbas-e-jism mein hum qaid hain ek muddat se
aur bahar se hamein roz bulati hai hawa

aur tum log bhi khemon mein chhupoge kab tak
ban ke aandhi abhi sahraon se aati hai hawa

meri nas-nas mein koi yaad sulag uthti hai
sard mausam mein bahut aag lagati hai hawa

kaun mahfuz kitabon mein karega is ko
jo kahani hamein din raat sunati hai hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close