muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka kahan sar phodiye ab moajaza raushan na hone ka bhatakta phir raha hun nafs ke andhe jazire mein suna hai apne hisse ka khuda raushan na hone ka sarayat kar gain iman ki khush-fahmiyan khun mein darun-e-qalb koi waswasa raushan na hone ka mere talwon pe masnad ho gae kante bayaban ke dil-e-wahshat-zada mein aabla raushan na hone ka main us ki pahli barish ban ke pi jaunga chupke se nahin to is zamin ka zaiqa raushan na hone ka