hamin tak rah gaya qissa hamara kisi ne khat nahin khola hamara padhai chal rahi hai zindagi ki abhi utra nahin basta hamara muafi aur itni si khata par saza se kaam chal jata hamara kisi ko phir bhi mahnge lag rahe the faqat sanson ka kharcha tha hamara yahin tak is shikayat ko na samjho khuda tak jaega jhagda hamara taraf-dari nahin kar pae dil ki akela pad gaya banda hamara taaruf kya kara aae kisi se usi ke sath hai saya hamara nahin the jashn-e-yaad-e-yar mein hum so ghar par aa gaya hissa hamara hamein bhi chahiye tanhai 'shaariq' samajhta hi nahin saya hamara