murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh suraj hun mera rang magar din-dhale bhi dekh kaghaz ki katranon ko bhi kahte hain log phul rangon ka e'tibar hi kya sungh ke bhi dekh har chand rakh ho ke bikharna hai rah mein jalte hue paron se uda hun mujhe bhi dekh dushman hai raat phir bhi hai din se mili hui subhon ke darmiyan hain jo fasle bhi dekh aalam mein jis ki dhum thi us shahkar par dimak ne jo likhe kabhi wo tabsire bhi dekh tu ne kaha na tha ki main kashti pe bojh hun aankhon ko ab na dhanp mujhe dubte bhi dekh us ki shikast ho na kahin teri bhi shikast ye aaina jo tut gaya hai ise bhi dekh tu hi barhana-pa nahin is jalti ret par talwon mein jo hawa ke hain wo aable bhi dekh bichhti thin jis ki rah mein phulon ki chadaren ab us ki khak ghas ke pairon-tale bhi dekh kya shakh-e-ba-samar hai jo takta hai farsh ko nazren utha 'shakeb' kabhi samne bhi dekh