naqab-e-rukh uthaya ja raha hai ghata mein chand aaya ja raha hai zamane ki nigahon mein samo kar mujhe dil se bhulaya ja raha hai kahan ka jam jab yan zauq-e-masti nigahon se pilaya ja raha hai abhi arman kuchh baqi hain dil mein mujhe phir aazmaya ja raha hai pila kar phir sharab-e-husn-o-jalwa mujhe be-khud banaya ja raha hai salamat aap ka jaur-e-musalsal mere dil ko dukhaya ja raha hai 'shakeb' ab wo tasawwur mein na aaen kaleja munh ko aaya ja raha hai