musafirat mein shab-e-wagha tak pahunch gae hain ye log apni abad-sara tak pahunch gae hain ab is se agla safar hamara lahu karega ki hum madine se karbala tak pahunch gae hain agar mubaraz-talab nahin the to kis liye hum charagh le kar dar-e-hawa tak pahunch gae hain gulabon aur gardanon se andaza ho raha hai ki hum kisi mausam-e-jaza tak pahunch gae hain teri mohabbat mein gumrahi ka ajab nasha tha ki tujh tak aate hue khuda tak pahunch gae hain bata rahi hai ye khushk patton ki tez barish hum apne mausam ki ibtida tak pahunch gae hain hamein bhi shunwai ka yaqin ho chala hai 'tabish' ki hum bhi tahrik-e-iltiwa tak pahunch gae hain