shab to wo yan se ruTh ke ghar ja ke so rahe

shab to wo yan se ruth ke ghar ja ke so rahe
hum tang aa ke jaan se kuchh kha ke so rahe

pahle to kuchh wo aate hi sharma ke so rahe
phir lutf uthe jo hum unhen chaunka ke so rahe

kya main shab-e-visal mein ghadiyan gina karun
karwat badal ke kyun mujhe chaunka ke so rahe

apni kahi na meri suni sham hi se wo
sina chhupa ke hathon se sharma ke so rahe

kuchh meri jaan-kani ka na aaya tumhein khayal
mujh ko na sath sone ko farma ke so rahe

hum baithe aankhen dekhte hain munh ko takte hain
baaton mein wo to tal ke bahla ke so rahe

mujh ko utha ke nichi nigahon se dekh kar
kuchh dil mein soch soch ke pachhta ke so rahe

un se shab-e-visal mein hujjat jo badh gai
kuchh dil mein soch soch ke pachhta ke so rahe

hum kyun bataen hum ne bhi ki subh jis tarah
shab tum to jagne ki qasam kha ke so rahe

ai bakht-e-khufta! itni hi tasir tu dikha
us ki gali mein panw mera ja ke so rahe

ta-subh mujh ko mare khushi ke na aai nind
ek aisi baat wo mujhe samjha ke so rahe

ai dil ye kya hua teri baaton ne kya kiya
munh pher ke udhar ko wo tang aa ke so rahe

soton mein jaan dal ke angdaiyan na lo
jage hue ho shab ke jo yan aa ke so rahe

ek dam ko chaukun shauq se phir soun subh tak
is baat ko zaban hi par la ke so rahe

ye chhed dekho mere na sone ke waste
andaz ek naya mujhe dikhla ke so rahe

ummid khwab mein bhi na yun dekhne ki thi
jis pyar se wo shab mujhe lipta ke so rahe

chhoda hai main ne raat na ghar jaane ko unhen
jab kuchh na bas chala to wo jhunjhla ke so rahe

main sone dunga aap ko kab chain se bhala
hai ye to khub tum mujhe phusla ke so rahe

achchha main panw dabun pa tum jagte raho
yun kaun mane hai mujhe bahla ke so rahe

kya sone jagne ka nahin hum ko imtiyaz
karwat badal ke aap jo machla ke so rahe

hai kaun si wo shab jo sahar tak na jage hum
kis din na aap ghair ke ghar ja ke so rahe

hai bakht-e-khufta aur shab-e-tanhai aur hum
jagen nasib sath jo wo aa ke so rahe

manzur tha ghatana jo ishrat ki raat ka
choti wo apni mujh se hi bandhwa ke so rahe

furqat ki shab mein jagne se faeda 'nizam'
behtar hai is se gar koi kuchh kha ke so rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close