musalsal aankh mein yun aana jaana aansuon ka hai

musalsal aankh mein yun aana jaana aansuon ka hai
mera chehra hai aur mehman-khana aansuon ka hai

bahut mushkil bayan hai chashm-o-dil ke khun hone ka
bahut aasan palkon se girana aansuon ka hai

pade rahte hain us ki did ke kuchh aks konon mein
wagarna aankh mein sara thikana aansuon ka hai

faqat tajdid-e-nau ki baat hai har ahd mein warna
tumhaare hijr se rishta purana aansuon ka hai

bahut aasan sahi daman pe girna chand qatron ka
bahut mushkil sar-e-mizhgan uthana aansuon ka hai

khayal-o-khwab ko 'afroz' koi aa ke samjha de
bulana us ki yaadon ka bulana aansuon ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close