musalsal ashk-bari ho rahi hai meri mitti bahaari ho rahi hai diye ki ek lau aur takhta-e-shab ajab surat-nigari ho rahi hai ye mera kuchh na hona darj kar lo agar mardum-shumari ho rahi hai main jugnu aur tu itni badi raat zara si chiz bhaari ho rahi hai bahut bhaari hain ab mitti ki palken badan par nind tari ho rahi hai ye bahar shor kaisa ho raha hai ye kaisi mara-mari ho rahi hai zara hathon mein mere hath dena badi be-akhtyari ho rahi hai hum apne aap se bichhde hue hain tabhi to itni khwari ho rahi hai wahi phir yak-qalam mansukh hun main kitab-e-ishq jari ho rahi hai kahan rakh aae wo sada-libasi ye kya gota kanari ho rahi hai nahin hoti ye harjai kisi ki to kyun duniya hamari ho rahi hai sunao sher apne 'farhat-ehsas' ye shab kya khub qari ho rahi hai