musalsal chala rahguzar mein raha

musalsal chala rahguzar mein raha
mera aab-o-dana safar mein raha

main apni ghutan apne dil mein liye
hamesha hawa-dar ghar mein raha

nazar se kai log guzre magar
wahi ek chehra nazar mein raha

mujhe bhi khushi dhundne aai thi
magar un dinon main safar mein raha

kisi par tawajjoh kisi ne na di
mera aib sab ki nazar mein raha

mujhe khud bhi hairat hai is baat par
sukun se bahut shor-o-shar mein raha

guzari hai 'nazmi' ajab zindagi
main bahar raha hun na ghar mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close