mushahida na koi tajraba na khwab koi tamam sher-o-sukhan harf-o-ijtinab koi ek intizar-e-musalsal mein din guzarte hain ki aate aate na aa jae inqalab koi tamam ahl-e-zamana shikar-e-hirs-o-hawas kare to kaise kare apna ehtisab koi na is qadar gham-o-ghussa ko pi ke rah jaana ki sabr-o-zabt ki aadat bane azab koi tamam umr sawalat puchhne wale kise mila hai jo tujh ko mile jawab koi