ru-ba-ru but ke dua ki bhul ho jae to phir aur phir wo hi dua maqbul ho jae to phir main badhaun hath jis kante ki jaanib shauq se hath mein aa kar wo kanta phul ho jae to phir baadbanon par hawa ho mehrban aur dafatan tukde tukde naw ka mastul ho jae to phir nafraten be-zariyan bughz-o-tassub dushmani zindagi ka bas yahi mamul ho jae to phir qatilon ko kar diya jae bari ilzam se wajib-e-tazir khud maqtul ho jae to phir lamha lamha manzilen hoti chali jaen baid aur qismat raste ki dhul ho jae to phir haal-e-dil apna bayan karne ki khwahish hai magar kuchh tawajjoh aap ki mabzul ho jae to phir