mushkil ko zara chhod ke aasan ke bare kuchh soch meri tangi-e-daman ke bare ek tere bulawe pe bahal jata hai warna malum hai mujh ko dil-e-nadan ke bare aaghaz-e-mohabbat mein tawakkul hai zaruri mat soch kisi faeda nuqsan ke bare is shahr mein har shakhs ko sone ki padi hai haalanki bataya bhi hai tufan ke bare is basti-e-khush-ab ki pur-kaif fazaen kab sochne deti hain paristan ke bare khone ki tujhe mujh ko wahi fikr hai lahiq hoti hai musafir ko jo saman ke bare 'ajiz' teri duniya ke ye insan ajab hain insan ko bahkate hain yazdan ke bare