yun ba-mushkil dil-e-majruh se paikan nikla main ye samjha ki tere wasl ka arman nikla dekh kar us ko dam-e-naza huin aankhen band jaan ke sath hi didar ka arman nikla arsa-e-hashr mein pursish jo hui us but ki mere hi dil mein wo ghaarat-gar-e-iman nikla dhum sahra-e-qayamat ki bahut sunte the ai junun wo bhi mera ek bayaban nikla khak mein mil gae hum jis ki tamanna mein 'jigar' wo lahad par bhi sambhaale hue daman nikla