mushkil us kuche se uthna ho gaya hashr bhi naqsh-e-kaf-e-pa ho gaya dekh waiz mujh ko main kya ho gaya aadmi tha pi farishta ho gaya aur hi wadi wo hai ai ahl-e-tur qais jis mein ja ke laila ho gaya shakh mein jab tak ye hai angur hai shaikh ne toda ki mina ho gaya tum ko samjha hur tera gor mein ai farishto mujh ko dhoka ho gaya munh jo kabe mein khula waqt-e-azan band naqus-e-kalisa ho gaya mai-kada waiz se ab chhutta nahin baad-e-paima baada-paima ho gaya ai buto allah ko saunpa tumhein but-kada sunta hun kaba ho gaya bagh tak jate bhi hain aate bhi hain ab qafas to ghar hamara ho gaya aaega pine-pilane ka maza parsa ab baada-paima ho gaya maut aai aap ka munh dekh kar aap ka bimar achchha ho gaya dub jaen tare wo tufan kahan ashk to aankhon ka tara ho gaya rang badla kya zamane ne 'riyaz' dekhte hi dekhte kya ho gaya