tujh pe jaan dene ko tayyar koi to hoga zindagi tera talabgar koi to hoga takhta-e-dar pe chahe jise latka dije itne logon mein gunahgar koi to hoga koi diwana to lalkarega aati rut ko waqia phir sar-e-bazar koi to hoga koi to raat ko dekhega jawan hote hue is bhare shahr mein bedar koi to hoga dil ke andar bhi to maujud hai duniya ka zamir aap se bar-sar-e-paikar koi to hoga sham ko roz nahata hai lahu mein suraj nahin khulta magar asrar koi to hoga main yahi soch ke jangal se nikal aaya tha shahr mein saya-e-diwar koi to hoga khushk mitti se bhi khushbu teri aati hogi mit chuka ghar magar aasar koi to hoga kyun khinche jate hain roz us ki taraf hum 'shahzad' us ki jaanib se bhi israr koi to hoga