mushkil waqt mein aksar log badal jate hain

mushkil waqt mein aksar log badal jate hain
chalte chalte apni rah nikal jate hain

sab ke apne apne paimane hote hain
sab apne afkar ki aag mein jal jate hain

zehn ki girhen khulte khulte hi khulti hain
jate jate hi rassi ke bil jate hain

thokar kha kar girne wala soch raha tha
girte girte kaise log sambhal jate hain

behis logon ki basti mein aakhir 'anwar'
kaise kaise naghme aah mein dhal jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close