mushkil ye aa padi hai ki gardish mein jam hai ai hosh warna mujh ko tera ehtiram hai fursat ka waqt dhundh ke milna kabhi ajal tujh ko bhi kaam hai abhi mujh ko bhi kaam hai aati bahut qarib se khushbu hai yar ki jari idhar udhar hi kahin daur-e-jam hai kuchh zahr ko taraste hain kuchh mai mein gharq hain saqi ye teri bazm ka kya intizam hai mai aur haram? hazrat-e-zahid khuda ka khauf wo to kaha gaya tha ki masti haram hai ai zulf-e-ambarin zara lahra ke phailna ek raat is chaman mein mera bhi qayam hai ai zindagi tu aap hi chupke se dekh le jam-e-adam pe likkha hua kis ka nam hai