mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz lekin wo nazar tir-e-nazar bhi hai koi chiz mumkin nahin wo chahne walon ko na chahen ikhlas-o-mohabbat ka asar bhi hai koi chiz lut jae ki rah jae rah-e-ishq-o-wafa mein dil bhi hai koi mal jigar bhi hai koi chiz un se jo na uttha tha use is ne uthaya qail hain malaek ki bashar bhi hai koi chiz chhupne ke liye shauq se parde mein chhupen aap itna rahe malum nazar bhi hai koi chiz ye kasrat-e-azar-o-gham-o-ranj kahan tak ai sham shab-e-hijr-e-sahar bhi hai koi chiz kahte ho hum aaenge magar zulm karenge socho tum agar to ye magar bhi hai koi chiz baqi na rahi nawak-e-dil-doz ki hajat zalim teri sidhi si nazar bhi hai koi chiz nale se kahunga ki pahunch arsh-e-barin tak ab tez musafir ye safar bhi hai koi chiz betab udhar aap pareshan idhar hum aapas ki mohabbat ka asar bhi hai koi chiz chalti hui mere dil-e-betab ko le kar lakhon mein wo duzdida nazar bhi hai koi chiz be-kar na jaega mere dil ka tadapna nala hai koi shai to asar bhi hai koi chiz aankhon ke liye zauq-e-nazar bhi hai koi baat pahlu ke liye dard-e-jigar bhi hai koi chiz allah re tere husn-e-ziya-bar ka jalwa ye pesh-e-nazar ho to nazar bhi hai koi chiz ai 'nuh' shab-e-mah mein pas us ko bitha kar kahta hun mera rashk-e-qamar bhi hai koi chiz