mushtahar nam karo tum mera akhbaron mein main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein mar ke bhi zinda-e-jawed hain fankar-e-azim jo nazar aate hain tarikh ke shah-paron mein waqt ke sath badal jate hain jin ke atwar mujhe shamil na karo aise qalam-karon mein log ab ghar se nikalte hue yun darte hain nazr-e-dahshat kahin ho jaen na bazaron mein jin ke sur tal hain ab raunaq-e-bazar-e-adab bat gai bazm-e-sukhan aise adakaron mein koi leta hi nahin bulbul-e-shaida ki khabar bum aate hain nazar shakh pe gulzaron mein aaj mafqud hai wo jazba-e-ashab-e-rasul raqs karte the jo talwar ki jhankaron mein jis ke aslaf ki azmat ke nishan hain har su jae ibrat hai wahi qaum hai nadaron mein log kahte hain use qasr-e-tamanna apna jis ke aslaf the apne kabhi meamaron mein jo kabhi mere ishaaron pe chala karte the khu-e-ikhlas wo baqi na rahi yaron mein nam hai safha-e-hasti se ab un ka ghaeb mulk-o-millat ke jo 'barqi' the wafadaron mein