rah mein haq ke azizan aap ko qurban karo ya nahin us par tasadduq apna jism-o-jaan karo salikan kab lag chaloge rah mein haq ke mor chal ishq ki tezi ko apne chhed kar jaulan karo kan talak khatir rakhoge aarzu mein tang kar ghuncha-dil baad-e-saba sun ishq ke khandan karo aql-e-nafsani tuman mein burqa-e-haiwan hai phad kar parda nazar ka aap ko insan karo khana-e-dil ko rakho aabaad haq ki yaad sun ishq ki aatish sun tan ko jal kar viran karo tod kar tan ko karo barik parde ki misal sham-e-nurani laga fanus-e-tan taban karo dekhte raho roz-o-shab ankhiyan sun tum rab ka jamal nain ki thaali mein is ko jyun durr-e-ghaltan karo pherte raho did ka manka nazar ke tar mein raat din ankhiyan ko apni is taraf gardan karo