mushtail ho gaya wo ghuncha-dahan danista aa gai lafzon mein kyun us ke chubhan danista jab bhi laya hai wo mathe pe shikan danista yun laga jaise hua chand-gahan danista thes lagti hai ana ko to baras padte hain lab-kusha hote nahin ahl-e-sukhan danista sar-bulandi hamein manzur thi haq ki khatir is liye chum liye dar-o-rasan danista jitne bhi ahl-e-siyasat hain watan-dushman hain sab ne phunka hai mohabbat ka chaman danista ye bhi sach int ka patthar se diya hum ne jawab ye bhi sach bair hai un se na jalan danista is se behtar kahan izhaar-e-gham-e-dil karte yun tarasha kiye lafzon ke badan danista us se dushman hi nahin maut bhi katraegi jis ne bhi bandh liya sar se kafan danista shayad is daur ki tahzib ko ghairat aae hum ne chhedi hai hikayat-e-kuhan danista jis ko wo chahe ata kar de ye wasf-e-taqdis kaun pata hai ghazal kahne ka fan danista sahme sahme se hain pedon pe parinde ai shams' us ne gholi hai fazaon mein ghutan danista