har ek shakhs pareshan-o-darba-dar sa lage ye shahr mujh ko to yaro koi bhanwar sa lage ab us ke tarz-e-tajahul ko kya kahe koi wo be-khabar to nahin phir bhi be-khabar sa lage har ek gham ko khushi ki tarah baratna hai ye daur wo hai ki jina bhi ek hunar sa lage nashat-e-sohbat-e-rindan bahut ghanimat hai ki lamha lamha pur-ashob-o-pur-khatar sa lage kise khabar hai ki duniya ka hashr kya hoga kabhi kabhi to mujhe aadmi se dar sa lage wo tund waqt ki rau hai ki panw tik na saken har aadmi koi ukhda hua shajar sa lage jahan-e-nau ke mukammal singar ki khatir sadi sadi ka zamana bhi mukhtasar sa lage