musibat thi hamare hi liye kyun ye mana hum jiye lekin jiye kyun na aana aur phir ilzam dena ki itne be-asar nale kiye kyun pas-e-khum pine mein hai kya buzurgi jo pina hai to phir chhup kar piye kyun jo di thi husn mein ye dil-farebi mujhe hosh-o-hawas itne diye kyun khayal-e-jumbish-e-mizhgan na rakkha hamare zakhm mein tanke diye kyun 'aziz' ilzam deta hai mujhe zabt na thi tasir to nale kiye kyun