na hui humse shab basar na hui

na hui hum se shab basar na hui
kis se puchhen ki kyun sahar na hui

wo nazar-shokh-o-fitna-za hi sahi
kyun mere haal-e-zar par na hui

bazm mein ye ada hamein samjhe
sab ko dekha udhar nazar na hui

ai mera haal puchhne wale
tujh ko ab tak meri khabar na hui

hum isi zindagi pe marte hain
jo yahan chain se basar na hui

kaise kaise sitam hue tujh par
kyun mere dil tujhe khabar na hui

ruh aalam mein phunk di to kya
meri jaanib to ek nazar na hui

uf mere gham-kade ki tariki
aap aae bhi to sahar na hui

dil ne duniya nai bana dali
aur hamein aaj tak khabar na hui

mujh se rukhsat hui thi jab duniya
tum kahan the tumhein khabar na hui

hijr ki raat katne wale
kya karega agar sahar na hui

khush rahen wo ye muddaa tha 'aziz'
na hui zindagi basar na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close