muskura kar aashiqon par mehrbani kijiye bulbulon ki pas-e-khatir gul-fishani kijiye ishq ne az-bas diya hai zard-rangi ka riwaj arghuwani aansuon kun zafrani kijiye mai-kash-e-gham kun shab-e-mahtab hai mu-e-safed mausam-e-piri mein saman-e-jawani kijiye hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yar nind to jati rahi hai qissa-khwani kijiye yar-e-jaani to zamane mein nipat kam-yab hain kijiye dushman agar apna to jaani kijiye mat ho ai dil tun sada bulbul hazaron phul ka ek baqi bujhiye baqi kun fani kijiye sab samundar muttafiq ho mujh kun kahte hain 'siraj' shola-ru ke wasf mein aatish-bayani kijiye