hum to us kuche mein ghabra ke chale aate hain do qadam jate hain phir ja ke chale aate hain hum ko ai sharm tuk ab us ki taraf jaane de haal apna use dikhla ke chale aate hain din ko zinhaar thaharte nahin hum us ku main raat ko milne ki thahra ke chale aate hain wo ada-kushta thaharta nahin phir maqtal mein lash ko jis ki wo thukra ke chale aate hain main bharose hi mein rahta hun teri zulfon mein yar mere mujhe phanswa ke chale aate hain wo jo milta nahin hum us ki gali mein dil ko dar-o-diwar se bahla ke chale aate hain jate hain kuche mein hum us ke to wan ghair ko dekh phir na aane ki qasam kha ke chale aate hain qaidi mar jate hain jab aap kabhi zindan ke qufl darwaze ko lagwa ke chale aate hain chhutte hain jo asiran-e-qafas gulshan mein kya hi par shauq se phaila ke chale aate hain ghair jab wasl ka karta hai sawal un se to we kaise mahjub ho dam kha ke chale aate hain rah-rawan-e-safar-e-baadiya-e-ishq ai wae qafile rah mein lutwa ke chale aate hain main to samjha tha bujhawenge kuchh aansu tuf-e-dil ye to aur aag ko bhadka ke chale aate hain sath mayyat ke meri wo nahin chalte do qadam bas wahin nash ko uthwa ke chale aate hain dil ki betabi se jate to hain hum us ku mein lek is jaane se pachhta ke chale aate hain badraqa gar nahin ahbab to phir kyun pas-e-marg ta-ba-manzil mujhe pahuncha ke chale aate hain 'mushafi' ke tain dekhen hain jo wo kushta pada pas jate nahin sharma ke chale aate hain