muskura sakta nahin aansu baha sakta nahin zindagi ab main tere ehsan utha sakta nahin jo shikast-e-arzu par muskura sakta nahin zindagi ki azmaton ka raaz pa sakta nahin taliban-e-rang-o-bu kanton se daman-kash na hon shakh-e-gul tak yun kisi ka hath ja sakta nahin tujh se mil kar jaane kyun hota hai ye mujh ko guman tujh ko kho sakta hun lekin tujh ko pa sakta nahin mutmain hun main ki zinda hai meri tab-e-ghayur meri khuddari pe koi harf aa sakta nahin sham-e-giryan ko bhala kya azmat-e-gham ki khabar koi parwana kabhi aansu baha sakta nahin tujh se milne ki tamanna hai ki tujh se rah ke dur e'tibar-e-hasti-e-mauhum aa sakta nahin 'lais' main rakhta hun pahlu mein dil-e-dard-ashna bhul kar bhi main kisi ka dil dukha sakta nahin