muskurane mein din guzarta hai gham chhupane mein din guzarta hai aap ka kya hai aap ka aksar dil dukhane mein din guzarta hai yaad aae to un ke kuche mein aane jaane mein din guzarta hai aaj bhi mai-kade mein saqi ka mai pilane mein din guzarta hai ruth jata hai hum se 'shafi' jab phir manane mein din guzarta hai