mustaqil rone se dil ki be-kali badh jaegi barishen hoti rahin to ye nadi badh jaegi ishq ki rahon mein hael ho rahi hai aagahi ab junun badh jaega diwangi badh jaegi har ghadi tera tasawwur har nafas tera khayal is tarah to aur bhi teri kami badh jaegi ho sake to is hisar-e-zat se bahar nikal habs mein rahne se wahshat aur bhi badh jaegi us ne suraj ke muqabil rakh diye apne charagh wo ye samjha is tarah kuchh raushni badh jaegi ishq ke tanha safar mein koi saya dhund le dhup mein chalta raha to tishnagi badh jaegi tu hamesha mangta rahta hai kyun gham se najat gham nahin honge to kya teri khushi badh jaegi ho sake to hum pe zahir kar de apne dil ka haal sochte rahne se to sanjidgi badh jaegi apni tanhai mein kis se guftugu karta hai tu in sadaon se to shab ki khamushi badh jaegi kya pata tha raat bhar yun jagna pad jaega ek diya bujhte hi itni tirgi badh jaegi