jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se guzar gai hai mohabbat hasin rahon se charagh jal ke agar bujh gaya to kya hoga mujhe na dekh mohabbat bhari nigahon se bala-kashon ki andheri gali ko kya jaane wo zindagi jo guzarti hai shah-rahon se labon pe mohr-e-khamoshi lagai jaegi dilon ki baat kahi jaegi nigahon se idhar kaha ki na chhute sawab ka jada udhar saja bhi diya rah ko gunahon se faza-e-mai-kada-e-dil-kusha mein aai hai hayat ghut ke jo nikli hai khanqahon se meri nazar ka taqaza kuchh aur tha ai dost mila na kuchh mah o anjum ki jalwa-gahon se khizan ki wadi-e-ghurbat guzar len to 'shamim' milen dayar-e-bahaaran ke kaj-kulahon se