mutrib se nawa ruth gai hai to mujhe kya ye shama agar jal ke bujhi hai to mujhe kya main koh-o-bayaban ka chahakta hua panchhi har shakh-e-chaman phuli-phali hai to mujhe kya mausam ki hasin tal pe nachengi fazaen ye baat kisi gul ne kahi hai to mujhe kya khushbu se hai khali abhi daman-e-tasawwur tu bagh-e-tamanna ki kali hai to mujhe kya hai fakhr abhi apne budhape ke lahu par shishe mein tere lal-pari hai to mujhe kya ai dost main kab tha gham-e-haalat ke tabe haalat ki raftar wahi hai to mujhe kya maqsud faqat dast-e-tasawwur ki ziyarat taswir mein rangon ki kami hai to mujhe kya dam tod diya zauq-e-tamanna ne tadap kar qatil ki nazar jam bani hai to mujhe kya hoti hai ada rasm kahin meri bala se parwan nai rit chadhi hai to mujhe kya main pyar ke zakhmon ka parastar hun gul-chin idrak ki shadab kali hai to mujhe kya khatir mein talatum ko bhi lata nahin hamdam kashti koi sahil pe lagi hai to mujhe kya raushan hai mere dil mein teri yaad ka suraj jugnu ki shab-e-gham se thani hai to mujhe kya 'mufti' meri aankhon ne faqat ashk bahae hasil tujhe duniya ki khushi hai to mujhe kya