na-umidi ne lahu dil ka baha rakkha hai ab mere daman-e-ehsas mein kya rakkha hai rah-e-pur-nur ke bhatke hue kuchh taron ne sare mahaul ko tarik bana rakkha hai mere nazdik qayamat ke siwa kuchh bhi nahin tu ne jo zist ka mafhum bata rakkha hai teri masum umangon ko badi muddat se meri aankhon ne gunahgar bana rakkha hai teri rahmat ke sahaaron ne khudawand-e-karim gharq hone se safine ko bacha rakkha hai phir bhi ek jashn-e-tarab dil mein racha leta hun go mujhe gardish-e-dauran ne sata rakkha hai meri ghurbat ne mere fan ka udaya hai mazaq teri daulat ne tera aib chhupa rakkha hai main ne dekha hai isi baat ke parde mein sukut tu ne jis baat pe kohram macha rakkha hai kaise phir ho na nigahon mein murawwat ki jhalak dil jo ikhlas ki kirnon se saja rakkha hai apni taqdis pe yun shaikh-e-haram mat itra main ne bhi parcham-e-tauhid utha rakkha hai