muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai dam-e-khali qafas-e-murgh-e-giraftar ke pas jigar-e-tishna-e-azar tasalli na hua ju-e-khun hum ne bahai bun-e-har khar ke pas mund gain kholte hi kholte aankhen hai hai khub waqt aae tum is aashiq-e-bimar ke pas main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle dashna ek tez sa hota mere gham-khwar ke pas dahan-e-sher mein ja baithe lekin ai dil na khade ho jiye khuban-e-dil-azar ke pas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas mar gaya phod ke sar 'ghaalib'-e-wahshi hai hai baithna us ka wo aa kar teri diwar ke pas