tujh mein pada hua hun harakat nahin hai mujh mein haalat na puchhiyo tu haalat nahin hai mujh mein ab to nazar mein aa ja banhon ke ghar mein aa ja ai jaan teri koi surat nahin hai mujh mein ai rang rang mein aa aaghosh-e-tang mein aa baaten hi rang ki hain rangat nahin hai mujh mein apne mein hi kisi ki ho ru-ba-rui mujh ko hun khud se ru-ba-ru hun himmat nahin hai mujh mein ab to simat ke aa ja aur ruh mein sama ja waise kisi ki pyare wusat nahin hai mujh mein shishe ke is taraf se main sab ko tak raha hun marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein tum mujh ko apne ram mein le jao sath apne apne se ai ghazalo wahshat nahin hai mujh mein