muztarib hun ab ye ji ki baat hai

muztarib hun ab ye ji ki baat hai
afw kije be-khudi ki baat hai

saikdon ushshaq ke tode hain dil
kya tumhaari nazuki ki baat hai

kya ajab puchhe na koi hashr mein
ek ye bhi be-kasi ki baat hai

jis fughan se mangte the sab panah
ab wo ek be-taqati ki baat hai

muddaten guzrin visal-e-yar ko
meri nazron mein abhi ki baat hai

kahte hain anjam us ka maut hai
jis qadar gham ho khushi ki baat hai

iztirab-e-shauq mein kahni padi
jo teri aazurdagi ki baat hai

ai dil ummid is se hai tasir ki
ye fughan hai ya wali ki baat hai

phirte hain ahd-e-wafa se hum koi
ye bhi tum se aadmi ki baat hai

sach kaha hai dil ko hai ek dil se rah
un ke lab par mere ji ki baat hai

ghair se kuchh kah ke mujh se kahte hain
tum ko kya matlab kisi ki baat hai

wada kyun karte ho kah doge abhi
yaad kis ko hai kabhi ki baat hai

mujh pe wo hangama guzra hai ki log
kal kahenge aaj hi ki baat hai

dahr mein 'salik' ye phaila hai nifaq
dosti bhi dushmani ki baat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close