mujh par aisi jafa ki kasrat ki

mujh par aisi jafa ki kasrat ki
ki use ghair ne malamat ki

tum ko apne khiram se matlab
thokaren khae koi qismat ki

wada-e-wasl-e-subh us se karo
kat sake jis se raat furqat ki

apni bedad ko nahin kahte
meri fariyaad ki shikayat ki

ab kahan hur khuld mein waiz
tu ne barbaad yun hi mehnat ki

hain jo duniya ki ye pari-zaden
yahi huren banengi jannat ki

tark-e-ishq aur main ghalat 'salik'
kaun roke zaban khilqat ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close