myan se tera agar khanjar nikal kar rah gaya mere bhi dil mein bada arman sitamgar rah gaya kya faqat kuche mein tere mera bistar rah gaya balki mujh se chhut kar dil hi kahin par rah gaya mai-kashon ke daur mein baithe the hum bhi ba-nasib ab to khali hath mein saqi ke saghar rah gaya mere kis arman ne mere qatl se roka tujhe jo kamar se tere yun khanjar nikal kar rah gaya dar tak us ke main pahunch jaunga ye kahta hua tere kuche mein mera bhule se bistar rah gaya maut aai hai mujhe lene ko ye kah de koi rahne wala mar gaya ujda hua ghar rah gaya wae-nakaami ki udne bhi na paya tha abhi bandhte hi nama bazu-e-kabutar rah gaya dil ki mayusi na puchho jab wo pahlu se uthe kar hi kya sakta tha tadpa aur tadap kar rah gaya sab ko lauh-e-qabr mera bhi yun hi degi nishan aaine se jis tarah nam-e-sikandar rah gaya ishq us ke gesuon ka kya hua 'alim' mujhe sare aalam ka jo sauda tha mere sar rah gaya