na aai jis ki sahar ek raat aisi bhi

na aai jis ki sahar ek raat aisi bhi
guzar aae magar ek raat aisi bhi

idhar guzarti hain jaise azab mein raaten
guzarti kash udhar ek raat aisi bhi

bujha sakun main diyon ko khushi khushi jis mein
tu meri nazr to kar ek raat aisi bhi

juda hai dasht ki shab tere shahr ki shab se
le chal samet ke ghar ek raat aisi bhi

main jaanta hun na niklega raat mein suraj
main chahta hun magar ek raat aisi bhi

wo jis mein aankh hi khwabon se rashk karti thi
'ziya' ne ki hai basar ek raat aisi bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close