thi aarzu uruj par aur ru-ba-ru thi raat

thi aarzu uruj par aur ru-ba-ru thi raat
koi mere qarib tha thi aarzu ki raat

anjaane mein asir hui thi nazar magar
taskin dil ko de gai wo mukhtasar si raat

jhapki palak guzar gai chahe tawil thi
dil ko panah de gai aawargi ki raat

kis ko khabar thi tadpenge furqat mein umr bhar
in lamhon ke guzarne ke fikr mein thi raat

ye tishnagi ye shauq mitega na umr bhar
khamosh rah ke kar gai kuchh arz sari raat

jadu tha us ki aankh ka koi junun tha
aakhir ye jaane kya hua hairan si thi raat

lamhon mein thi simat gai wo lambi kali raat
lagne lagi nai nai thi raat si hi raat

'anjum' kahun to kya kahun haal-e-dil-e-hazin
kis darja josh bhar gai wo muskuraati raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close