na aana tha na aaya aane wala gaya duniya se aakhir jaane wala chhupao lakh tum apne ko lekin tumhein pa kar rahega pane wala mohabbat ko samajh se wasta kya kaho ab chup rahe samjhane wala yahan be-sud hai zikr-e-gham-e-dil yahan koi nahin gham khane wala mujhe to hai gharaz insaniyat se haram wala ho ya but-khane wala samajhne wala ab koi nahin hai jise dekho wo hai samjhane wala hazaron milte hain gham dene wale koi milta nahin gham khane wala sabhi ka tum to gham khate ho 'asi' tumhaara kaun hai gham khane wala